Wednesday, January 20, 2010

need ka nirmaan phir phir...

yah uthee aandhi ki nabh mein
chha gaya sahsa andhera
dhooli dhoosar badalon ne
bhoomi ko iss bhaanti ghera
raat sa din ho gaya
phir raat aayee aur kali
lag raha tha ab na hoga
iss nisha ka phir savera
raat ke utpaat bhay se
bheet jan-jan bheet kan-kan
kintu prachi se usha ki
mohini muskaan phir phir,
need ka nirman phir phir
neh ka aahvaan phir phir!

kruddha nabh ke vajradanton mein
usha hai muskaraati,
ghor garjanmay gagan ke
kanth mein khag pankti gaati
ek chidiya chonch mein
tinka liye jo jaa rahi hai
vah sahaj mein hi pavan unchaas ko
neecha dikha rahi hai.
nash ke dukh se kabhi
dabta nahin nirmaan ka sukh
pralay ki nistabdhata mein
srushti ka navgaan phir phir,
need ka nirmaan phir phir
neh ka aahvaan phir phir!

--
Harivansh Rai Bachchan
(a gr8 hindi poet)

No comments: