Wednesday, January 20, 2010

need ka nirmaan phir phir...

yah uthee aandhi ki nabh mein
chha gaya sahsa andhera
dhooli dhoosar badalon ne
bhoomi ko iss bhaanti ghera
raat sa din ho gaya
phir raat aayee aur kali
lag raha tha ab na hoga
iss nisha ka phir savera
raat ke utpaat bhay se
bheet jan-jan bheet kan-kan
kintu prachi se usha ki
mohini muskaan phir phir,
need ka nirman phir phir
neh ka aahvaan phir phir!

kruddha nabh ke vajradanton mein
usha hai muskaraati,
ghor garjanmay gagan ke
kanth mein khag pankti gaati
ek chidiya chonch mein
tinka liye jo jaa rahi hai
vah sahaj mein hi pavan unchaas ko
neecha dikha rahi hai.
nash ke dukh se kabhi
dabta nahin nirmaan ka sukh
pralay ki nistabdhata mein
srushti ka navgaan phir phir,
need ka nirmaan phir phir
neh ka aahvaan phir phir!

--
Harivansh Rai Bachchan
(a gr8 hindi poet)

Thursday, January 14, 2010

miles 2 go b4 I sleep...

Whose woods these are I think I know.
His house is in the village, though;
He will not see me stopping here,
To watch his woods fill up with snow.

My little horse must think it queer,
To stop without a farmhouse near,
Between the woods and frozen lake,
The darkest evening of the year.

He gives his harness bells a shake,
To ask if there's some mistake.
The only other sound's the sweep,
Of easy wind and downy flake.

The woods are lovely, dark and deep,
But I have promises to keep,
And miles to go before I sleep,
And miles to go before I sleep.

--
Robert Frost
---------------------------------------


Hindi translation -->

gahan saghan manmohak van taru
mujhko aaj bulate hain,
kintu kiye jo waade maine
yaad mujhe aa jate hain;

abhi kahaan aaram bada
yeh mook nimantran chhalna hai,
arey abhi to meelon mujhko,
meelon mujhko chalna hai!

--
Harivansh Rai Bachchan

...ek timtimata tara ho

hawaon se dosti hai, aasmanon se ishq,
zameen se toot gaya hai rishta -
chaaron taraf gehre-se hain andhere,
thake-thake se hain chiraag;
aur tum, kahin door ek timtimata tara ho !!

tumhare bin chalun to kidhar, jaoon to kahan?
tumhari mehek manzil bhi hai, aur rasta bhi!
ummeed ka nasha hai -
kahin shayad tum chupchap, palat aao !!

tum palat aao ki, tamannaon ki angdaai palte,
tabassum ki roshni palte, zindagi palat aaye shayad!
meri manzil, tu mujhse apna pata to na chheen,
tujhse milne ko hi ab, bas zinda hoon shayad !!

yehi baaki raha tha, meri zindagi ka maqsad,
ke hatasha bhare iss jahaan mein,
kisi aur ka na sahi, tumhara hi ho saath!
par tum bhi iss veeran raat mein,
iss athaah nirasha bhare khyal mein,
sirf,
kahin door ek timtimata tara ho !!

--
vps.. d warrior
(09/12/08)

mujhe manzilon ki talash hai...

Na Kisi Ka Dil Mujhe Chahiye
Mere Dil Ko Dil Jo Samajh Sake
Mujhe Us Nazar Ki Talash Hai
Mujhe Manzilon Ki Talaash Hai...

Mujhe kaanton Ki Nahin Lagan
Dil Mein Hai Bas Ye Ek Chubhan
Mera Saath Khaye Jo Thokarein
Uss Humsafar Ki Talash Hai.....

Jahan Bandagi Ke Ujale Hain
Jahan Log Chahnewaale Hain
Wahin Raahi Milte Pyar Ke....
Uss Rehguzar Ki Talash Hai

Mere Dhadkanon Mein Jo Raag Hai
Yeh Basant Hai, Yeh Bihag Hai
Yeh Jo Halki Halki Si Aag Hai
Meri Umr Bhar Ki Talash Hai

Na Kisi Ka Dil Mujhe Chahiye
Na Kisi Ke Dar Ki Talash Hai
Mere Dil Ko Dil Jo Samajh Sake
Mujhe Us Nazar Ki Talash Hai
Mujhe Manzilon Ki Talaash hai... !!!